
Mehrmah ko blame karna, ya ye sochna k ab bus kar dy, ye nehayat ghalat baat ho ge. Or ye nehayat he ghalat perspective hai k Mansab ki takleef ki waja sy us py tars khaaty huwy, ya ye sochty huwy k he has had enough. Yaad rakheay maafi mil bye jays tou Jo aap kar chuky hn, chaahy kuch bhe kar len, you can NEVER reverse it. Ye soch k zulm karna chorr den, k end py jab finally hamen sharmindagi ho ge to maafi tou mil he jani hai. Lekin Zahra ny Waleed ko maaf kar diya, Mehrmah probably end py Mansab ko maaf kar dy ge or Alisha Bader ko or Bader usy… things people do for love (banging my head on wall) lekin please is sab ko apny saamny rakh k koi parameters Na set kejeay ga, mn ny ye nahi kaha k maaf karna ghalat hai, Magar kuch gunaahon ki maafi tou Allah k Hana bhe nahi hai. or aisa zaroori bhe nahi k kia jaye, k na karna kam zarfi hargiz nahi.Īgar koi aik character doosry ko uski sangeen ghaltiyon ya gunaahon ki waja sy maaf na bhe kar paye tou us ko is k leay sharminda hony ki zaroorat nahi hoti, we are all humans after all. Rahman ka banda hoty huwy, zindagi mn har kisi ko kabhi na kabhi maaf zaroor kar dena chaheay chaahy kitna he waqt kiyun na lagy, magar itna zarf Hara kisi men nahi hota k aik aisa shakhs jis ny aap ki poori zindagi ko sawaliya nishaan bna diya ho, aap ki reputation, izzat sab tabah kar diya ho, us k sath sab bhool k, maaf kar k zindagi guzarna khud ko torture karny wali baat hai. Maaf karna alag baat hai, sab bhool k zindagi naye siry sy aisy shuru kar lena jesy kuch hua he na ho bilkul alag. you say Alisha deserves it, I wonder if Meharmah, Mirha, Zahra. the only one really suffering here, and that too because of others, is Mehrmah. or woh jo bhe suffer kar raha hai is mn us k khud k ilawa koi zimmadaar nahi, so please don't take it on the female protagonist, don't talk as if its her fault that he was a man lacking character and integrity, and then he kind of reverted and fell in love with her. Nehayat he wusat e nazri or aala zarfi k sath, jo woh kar chuka hai woh sari zindagi qadmon men gir k bhe maafi maangy tou bhe kam hai. you talk as if woh sharminda ho k kisi py ehsaan kar raha hai. no offence but you need to revise your definition of a hero. what about all she went through before? woh koi badal sakta hai? definitely nahi! or poochy ga tou us sy ab bhe koi nahi k bibi aap ko aisi pehchaan ab chaheay bhe sahih ya nahi. Mirha ko ab chaahy pehchaan mily na mily, ab kia farq parrta hai. or agar koi apna boya he kaat'ta phir raha ho tou us mn us ka apna he qasoor hai kisi or ka nahi.

Maine phle b bola tha apse ki thodi izzat female characters ko b de. Shuru me pasnd tha fir mujhe iske character se nafrat mehsoos ho rhi h. Lekin saza milni chahiye sb mardon ko is novel me. Allah ne aurat ko bht mazboot bnaya h or apne is novel me hr aurat giraya h. Or Alisha jo majboot kirdar ki thi use itni zillat jhelni pad rhi h. Jo umar bhr apne hi ghr me bina kisi pehchan ke noukrani ki zindagi basar krni padi. Maher ki izzat khak me mili or jisne aisa kiya use hi uske sar pe sari zindagi k lye musallat kr dya. Is novel me sari female characters ko zulm ka nishana bnaya gya h bs. Khud aurat zaat hoke ek aurat ka aisa majboor or bebas kirdar show krna apko zara suit nhi krta. Or ab age jake maher ko mansab se muhabbat h ye dikha dengi aap. Itna bebas kirdar kyun bna dya maher bechari ka.


But fir b bura lga maher ko jis trh baat baar pe dhamkata h mansab usse to aisa hi lgta h ki use apni glti ka zara ahsas nhi.

Apko khas nafrat h kya maher k character se jo uske lye itni takleefen likh dali h. But maher ko kis gunaah ki saza mansab k roop me mili h.
